“Bass, ‘kaisi ho?’. Kuch aur nahi poochna?”
“Chai ya coffee?”
“Ye bhi koi sawaal hua”
“Bhaiya, ek masala chai aur ek strong coffee le aana”
“Strong coffee wale ho gaye tum ab, kya baat!”
“Han…”
“Ek baat bataon, 10 saal baad milne par baatein khatam ho jaati hain kya?”
“Khatam nahi hoti bas baatein itni ho jaati hain ki samajh nahin aata ki shuru kaun si baat se kare”
“Yahaan ka mausam bahut thanda hai. Jab baatein na bachi ho to mausam ke baare mein baat kar leni chahiye”
“Us se kya hoga?”
“Lagta rahega ki baatein abhi khatam nahi hui hain. Waise badle nahin tum bilkul.”
“Itna to badal gaya hoon”
“Kitna badal gaye ho?”
“Jitni ki tum moti ho gayi ho”
“Han, thodi si moti hui hoon… Waise, sahi laga tha mujhe”
“Kya?”
“Yahi ki bilkul bhi nahin badle tum”
“Yahaan ka mausam bada thanda hai na?”
Also, read: Pehchaan – Grow yourself
ADVERTISEMENT
GIPHY App Key not set. Please check settings